Haraam se parhez karna

Q: Masla kuch is tarah sy hy k mairay ghar waly maira rishta mere khala zad ke sath karna chahty hain. Mere khala bi razi hain mere ammi gi or abbu gi bhi razi hain or wo mujy keh rahy hain is rishty ke bary main. Phir bat ye hy k mairay khalu police main hain or un ki amdni main thora bohot na jaiz bi hy. Main ny khud daikha bhi hy to is tarah ki amdan ka bachon par bhi to asar prta hy. Ab aap barah e karam Islam ki roshni main mujy ye btain k kia main ye rishta kar skta hun ya nahi?

bismillah.jpg

A: Agar tarafain khush he to rishta ko manzoor karle aur uska ihtiyaat kare ke khaawind ka haraam aamdani se faaidah ne utaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)