Teen rakaat jamaat ke saath choot jana

Q: Agar Zuhr Namaz Mein teen rakaat Jamaat ke saat choot jaye to kistarah parhni chahiye?

bismillah.jpg

A: Imaam ke salaam pher lene ke bad ek rakaat surah faatihah aur surah ke saath parhle. Ruku aur sajdah ke bad tashahhud ke liye beth jaye aur tashahhud parhlene ke bad teesree rakaat ke liye khare hojaye aur surah faatihah aur surah prahle aur chotee rakaat me mahaz surah faatihah parhkar ruku sajdah karle. Uske bad tashahhud karke salaam pher lo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

(والمسبوق من سبقه الإمام بها أو ببعضها وهو منفرد) حتى يثني ويتعوذ ويقرأ وإن قرأ مع الإمام لعدم الاعتداد بها لكراهتها مفتاح السعادة (الدر المختار 1/596)

قال الشامي: قوله ( حتى يثني الخ ) تفريع على قوله منفرد فيما يقضيه بعد فراغ إمامه فيأتي بالثناء والتعوذ لأنه للقراءة ويقرأ لأنه يقضي أول صلاته في حق القراءة كما يأتي حتى لو ترك القراءة فسدت (رد المحتار 1/596)

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)