Khwaab ki Tabeer

Q: Me aap se aik khwab ki tabeer puchna cahti hon mi ne khwab mi khud ko kabristan mi bethy howy dekha apni bhai ki kabar k pass (jo k 2 years pehly wafat pa chuky hain or unki wafat k 10 din bad unka beta howa tha) unka beta bhi mery sath hy or wo apny abu ki kabar per lait raha hy jesy choty bachy apne abu k sath lad piyar kerty hain, mi apne bhai ki kabar se 2 kabren chor ker bethi hoi hon bhai ki kabar ki tarf picha hy mera mujhy aik admi ne awaz dy ker kaha k apka bacha kabar per char raha hy tb mi us admi se kehti hon k yeh ic k papa ki kabar hy or wo apne baba sath khail raha hy, yeh keh ker mi face sidha ker leti hon or mery mobile mi astghfar wali naat chal rahi hoti hy or mind mi yeh soch chal rahi hoti hy k insan ka akhri thikana to yeh kabar hy phir hm duniya mi kesy dil lga ker kho jaty hain. Please mufti sahib mujhy is khwab ki taber zuroor btayen.

bismillah.jpg

A: Apne bhai ke lia Qur'an shareef me se kuch parh kar ya sadaqah kar le owr us ka sawaab un ke lia phonchade. Bhai ke bache ku Deeni Ta'leem de ta ke uske baap ku qabar me khushi hogi. Hum sab ku chaahia ke aakirat ku soche owr us ke lia tayyari kar le. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: