Kasam khana ke ziyaada nahi sochoonga

Q: Maine kai bar quran pe hath rakh ke kasam khayi thi ki main jyada nahi sochonga nahi. Actually me sir mujhe depreesion hai is wajah se main bahut soochta hoon ki future me kya hoga aur meri tabiyat kharab ho jata hai aur mujhe neend bhi nahi aati hai aur mera ilaj bhi chal raha hai doctor se magar phir bhi main soochne lagta hoon maine kai martaba aisa kiya hai aur quran ki kasam mujhse tot gayi hai kya mujhe kaffra dena hoga aur mujhe har kasam ka kaffara dena hoga please mujhe bata dijiye main bahut pareshan hoon aur mujhe kuch samajh me nahi aa raha hai.

bismillah.jpg

A: Aysi qasam nahi khaana chaahiye. Agar ye khiyaalaat khud ba khud aaye to fikr ne kare. Qasdan koi khiyaal zehen me ne laaye. Agar qasdan khiyaal le aaye to uska kaffaarah adaa karna chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)