Kai baar qasam towrna

Q: Maine quran pe hath rakh ke kai bar qasam khayi aur wo qasam mujhse tot gayi hai. Mujhe yad bhi nahi hai ki maine kitni bar qasam tori hai. Magar main ab kaffara ada karna chahta hoon. To maine ye socha hai ki main 1 kaffara 1 mahine me ada karronga kya main aisa kar sakta hoon. Aur kya mujhe ek sath sare kaffare ada karne hoge. Mujhe yaad nahi phir bhi maine andaza lagaya hai ki main 10 kaffara ada karronga. Please mujhe zarror batiye ki kya main aisa kar sakta hoon ki nahi. Mujhe pata hai ki  kaffra kya hota hai. 10 logo ko do waqt ka khana khilana hai magar main ye poochna chahta hoon  kya aisa hai ki jin logo ko din ka khana khilaya hai unhi logo ko raat ka khana khilaya jaye. Aur kya alag alag log wo sakte hai matlab din me alag 10 log aur raat me alag 10 log.

bismillah.jpg

A: Aik aik kaffaarah ko ada karo, chaahe jitne bhi din ho jaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)