Khwaab ki ta'beer

Q: Kal raat bhi mene ek khwab dekha jis me kai manzar dekhe or muje sirf 2-3 manzar yaad he ek manzar me mene ek wasee medan dekha jaha kai darakht hein waha ek jaga kuch seeriyan hein or un per kuch oper char ker ek eenth ki tarha ki takhti se rakhi he me see char ker us takhti ko dekhti hun to wo takhti darmayan se safed or charo taraf se sabz rangat ki tarha ki hoti he or us per kuch likha he jab parti hun to esa mehsos hota he jese ek baar hamare nabi kareem (Sallallahu Alayhi Wasallam) ko kuch likhna tha or unke pas likhne kelie kuch nhi tha to ek sahabi (Radiyallahu Anhu) ne une ye takhti di jis per unho ne likha or ye wohi takhti hoti he.

Ayk or manzar me dekha ke mere office ki larkian mujse se milne ati hein wo kehti hein ke mer sath chai peni he to me unhe kehti hun tum log betho mene wazu kia howa he or me namaz perh ker ati hun wo beth jati hien or me namaz parne lag jati hun.

bismillah.jpg

A: Khwaab ka ma'na ye he ke agar aap ku taraqqi owr kaamiyaabi chahia, to Sunnat ke seeri par charow owr gunaah wali zindagi se bacho. Aap ku dunya owr aakhirat ki taraqqi mil jaegi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada