Khuda ke siwa dowsre cheezo ke upar qasam khana

Q: Kisi larki ko 15 years pahle  kisi ne kaha ke qasam khao khuda ki, quran ki, apne maa baap ki ke kisi ko nahi bataogi. Wo ye qasam abhi tak nibhaa rahi hai, and nibhaegi. But abhi uss ko pata chala hai k allah k siwa kisi ki qasam khaanaa shirk hai. Uss ko pahle ye knowledge nahi thhi. Ab uss ko buhut guilt hai and wo sochti hai k khudaa mujhe maaf nahi karega. Meherbaani ker k ye bataein k kia sahi hai and kia ghalat hai? kia uss ki maaf hai?

bismillah.jpg

A: Qasam ku sirf Allah Ta'ala ke naam par lena chahia. Dowsre cheezo ke upar qasam khana jaaiz nahi he. Lekin agar kisi ne kaha ke me Qur'an ki qasam khaya, to qasam mu'tabar hogi. Agar kisi ne kaha ke me maa baap ki qasam khaya hu, to ye qasam mu'tabar nahi he owr aadmi gunehgaar hoga. Us ke lia istighfaar talab karo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)