Khwaab ki ta'beer

Q: Mai aik larkay kay liye istekhara kar rahai hoo. Kuch dinoo say kabhi khawab ati hai aur kabhi nai ati.app plz wafeha jawab dijye ga, mery liye aik rishta aya hoa  hai maine neyat ki kay ye larka aur dosra wo jo jissy mai chahti hoo , kon behter hai , maine khawab mai dekha kay mai apni
ami kay sath aik bhut barri aur khoobsorat kapray ki shop mai hoo aur buy kar rahai hoo , itni daer mai aik ameer family ati hai aur shop keeper  say apni order ki hoi sarri mangti hai wo sarrii sky blue color ki par kam bhut ziada hai aur bhut khoob sorat hai wo kuch behas o mubahessay mai lag jaty hain tou mai onko interrupt kar kay kahti hoo ky shop keeper inhy jo sarri maine light pink color ki khareedi thi oss jaisi aur kam karaya hai wo dekhao , wo search karta hai magar wo piece khatam hogya hota , phir wo antiemjhsy impress ho jati hain ,aur mujhy apnay pas bula laiteen hain , wo mjhy bhut piyar karti hain aur kahti hain , tum mery ghar chalo , itni daer mai mai ami say kahti hoo maiinn kay sath ja rahai hoo app ghar jaien , ami kisi ko call karti hain aur kahti hain kay faiza ko yani mjhy family dekhnay ayi thi pasand kar gai hai, mai itni daer mai antie kay sath bahir jati hoo , antie nay cardorkhari ki hoti hai , hum 2 road cross kar kayjaty hain , car toyota hai magar meri hieght say barri hai kafi,wo new bhi ,wowo mjhy anderbithati hain tou ander wo larka jissy mai like karti hoo wo drive karta hai aur sath mai osski behen jo asal mai meri dost hai , wo dono bhut achi tarah say milty hain , antie gaieb ho jati hain phir adha safar mai car ki back seat par karti hoo aur adha front seat par lakin car ki seat itni baarri hoti hai kay mai sur meri dost hum dono aik sath baith jaty hain , aur wo bhut smoothly car drive karta hai, lakin car bhut barrii hai.

bismillah.jpg

A: Nikaah ke muaamale me larki ku chahia ke wo apne maa baap se mashwarah kare. Jis larke ke Deen se maa paab kush ho, to wo us ka nikaah usi se kara le. Jo khwaab aap ne dhekha, wo waadih nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada