Khwaab ki ta'beer

Q: Ayk subah men eek khwab dekha jo theek tarha yaad nahi per fajar ki azan se pehle dekha tha us khwab ke kuch manazir muje yaad hien jese ke me abaya pehan ker apne bazar se guzri hun or bazar me dukane bhi hein shyad koi ek adhi fruit ki dukan bhi nazar ai phir me esi jaga per hun jo kisi ghar ki chat ki tarha se he shyad hamare ghar ki chat jese he jis per me safed libas pehne hoe hun jise ke umara or haj kelie auratein pehanti hein or muje dur chat per h ek abaya pehne hoi larki bhi nazar ati he me jaha bethi hun waha kuch khane pene ka saman rakha he jise ham ne chadar se dhanp rakha he tab h me kahi per likha howa dekhti hun ya kahi se parti hunk e shyad 12 ya 1 baje khana kaaba me umare ki ibadat ka session shoro hoga to meri behan bhi safed libas pehne howe ati he or kehti he ke ap saman ke pas betho me ek session mukamal ker ke ati hun phir aap jana muje guman ye hota he jese wo kehti he ke wo khana kaaba ja rahi he or waha ibadat ka ya umare ke session ker ke aye gi wo jati he lekin jab wapis ati he to uske hath me khane pene k cheese hoti he us me chawalo ki biryani ke 2-3 dabe the hien or muje kehti he ke waha rush bht tha me zyda der ruk nahi saki thori der me me dobara jao gi kehti he ke wahi kaaba me khemo ke pas ya chawal bat rahe the pata nahi ye 2-3 dabe kese mere pas agaye barhaal wo biryani ke dabe muje deti he mere pas shyad chane ki daal paki rakhi hoti he me kehti hun muje bhook laga rhi he me ye biryani ke chawalo per daal dal ker khati hun or behn kehti he me abhi thori de me dobara waha jati hun or tum yahi raho jab me wapis ajao gi to tum chali jana phir me yaha beth jaoogi.

bismillah.jpg

A: Allah Ta'ala barkat naseeb farmae maal me owr neak a'amaal me owr Haramain Sharifain ki ziyaarat naseeb farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada