Ghusse me talaaq

Q: Mere shohar gusse ke taj hai wo gusse mai nahi sochte kya kah raha hoo. Hamari shaadi kob bees saal ho gaye hai mai jab se shadi ho kar aai to bimaar rahi thi wo bohat tafseel hai short baat yeh hai ki do saal pahle unhone mari bahan se baat karne par kaha ki tum agar baat karo to tum apne aap ko taalaq samjna phir maine bahan se baat nahi kari do din baad wo kahne lage ki maine apne words wapis liye tum baat kar sakti ho phir dubaara bhi is tarah koi baat hui jo mare zahan se uter gai hai aur mare shohar ke zahan se bhi hame yaad nahi hai uske baad mara illaj hua ruqya ke zariye kisi ne jaadu karwaya tha hamesha ghar me se taawiz niklte khar mai ruqya sunti ek saal se allah ka zikr kasrat se sunti thi muje aisa lagta tha is ghar mai shaitaan hai jinhe mara zikr karna acha nahi lagta tha jab mai padhne ya sunne bathu muje kano me kisi ki gaaliyo ki aawaz sunaaide ti thi abhi do teen din pahle mare shohar ne mare zikr sunne par ekdum se kaha ki agar tumne yah suna totumhe taalaq de dunga ab maine jab se zikr nahi suna lakin ab aage kya hoga muje kya karna chahiye kyoki mai apne abbu ke ghar nahi ja sakti hoo kyo ki hamaari ammi nahi hai doosri ammi hai mare paanch bachche hai mai kya karu ab mare shohar kah rahe hai ki unhone pata nahi kaise kah diya unhe koi sense nhi tha us waqt wo allah se mafi maang rahe hai aur apne lafz waapes lata hoo hum kya kare mai sirf wo zikr na sunu jo mai sun rahi thi ya kuch bhi nahi sunu kyuki unhone gusse mai teesri taalaq bhi kaha tha jab maine unse kaha ki allah kazikr sunne se koi kisi ko rok nahi sakta aap plz iska hal baatey kyuo ki mai allahki nafarmani nahi karna chahti hoo plz aap mara jawab jaldi dane ki koshish kare mai bohat preshan hoo allah aap ko is ki jazaikhair de.

bismillah.jpg

A: Aapka shohar ka dimaagh saheeh nahi he. Usne jab pehlee dafa kaha to kehne ke bad apnee baat ko waapas nahi le sakta. To usee waqt talaaq ho chuka.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: