Khwaab ki ta'beer

Q: Mene aaj subha fajar ke bad khwab dekha ke mere pas koi token qism ki parchi ya slip he jis per muje pata chalta he ke mere naam per gari (car) inam me nikel ai he to me khush hoti hun or sochti hunk e ye slip smbhal ker rakhti hun kunke isi ki waja se to muje gari mile gi phir me use sambhal ker rakh leti hun lekin bad me mein dhondna shoro ker deti hun to muje mil nahi rahi hoti thori der me mein apne dil me sochti hunk e ye me guma nahi sakti na h laperwahi se kahi rakh sakti hun wo slip mene apne bag me h kisi jaga fold kerke sambhal ker rakhi hogi me bad me dhond lugi phir men ek jaga safed rang ki bager darwaze ki almari dekhi jo deewar me fix hoti he us me mukhtalif rango ki shirts bhi pari dekhi jo ladies shirt hoti hen or usi me shyad ek do dopate or trousers bhi hein phir mene khud ko ek chat per office ki larkio ke sath khush khush dekha mosam bhi acha he halke badal bhi hein or kuch hawa bhi chal rahi he ham larkian khushi khushi apas me tasveerein bhi khichwati hien me bhi khichwati hun or phir mene ham larkio ko chai (tea) pete bhi dekha or us ke sath gurr or atey(flour) wale pakorey bhi dekhe jo ham le ker khate bhi hien or chai pete bhi hien ek chota sa mugalta he mere khyaal he ke ham larkian mil ker chocolate cake bhi khati hien phir mene usi jaga apne 2 purane coleagues (larke) bhi dekhe jinke sath mene 2-3 saal pehle kuch mahine ek office me kam kia tha ( wo dono ab tak ke mere behtreen coleagues rahe hien  jinke sath mera bht hi acha association raha he mere nazdeek wo aj tak ke mere sab se ache coleagues hein) me un dono ko chai ka pochti hun to un me se ek mana ker deta he kehta he ke muje qabz ka masla he usi se me pochti hun ke tumhe job mil gai he to wo kehta he ke nahi abhi muje job ni mili (kuch din pehle usne muje waqi bataya tha ke wo jobless he) or dosra namaz per ker ata he use bhi me pochti hun wo pene ka kehta hein.

bismillah.jpg

A: Paanch wat ki namaaz ku paabandi se parhe apne saheeh waqt par. Aank, zabaan, kaan owr dil ku tamaam gunaaho se mahfooz kare. Ghalat suhbat owr dowsti se bache (Internet, cellphone, TV, novels, waghairah se bhi bache). Purdah ka ihtimaam kare tamaam na mahramo se. Tamaam qisam ke gunaah se parhez kare owr Sunnat wali zindagi ke mutaabiq apne zindagi guzaare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada