Zina se tawbah

Q: Agar koi shaks ne apni choti umr me zina kare aur wo ab itna bada ho chuka he aur itna iln usko hasil ho chuka he jisse wo jaan sake ke zina kitna khatarnaak gunah aur uski had quraan o hadees mein allh ne khud farmai he aur usko yaad nahi uski umar us waqt kya thi,,,magar itna yaad he ke wo uske baaligh hone se pehle hua tha aur wo ab ye nai tai kar pa rahe hein ke kya usne jab zina kiya to kya wo us waqt baligh hojate hein (ehkaam e buloogat ke lihaaz se) aur ab wo apne gunaah par nadim he aur wo jante hein ke zina ki saza 100 kode he aur wo is raaz ko abhi tak chupae hue he..aur na to wo aisi  jagah mein rehte hein jahan in hudood e sharieya par amal hota he...magar wo sachi pakki tauba karke apni zindagi aage allah ke ehkaam maan kar chalna chate hein to kya hukm he unke liye?

bismillah.jpg

A: Wo sacha towbah kar le ke aainda aysa kaam nahi karega. Agar wo sacha he apne towbah me aur wo apni zindagi ku badal de, to Allah Ta'ala unka tawbah qubool karega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)