Mannat ku bhool jaana

Q: Agar koi shaks bahut zamana pehle kisi kaam ke poora hone ke baat fulaan kaam karne ki mannat kare aur wo kuch arse ke baad ya saalon baad
poora ho raha ho aur wo usko uski mannat shayad yaad nahin he ya wo aisi mannat thi jo sharan jais nahi jaise ki agar fulan kaam ho gaya to fulan kaam karungi jaise islam me he ke agar apne paas maal ho to use jais nahi ke wo kisi ke dar pe jaakr bheek mange, to ho sakta he wo aisa na kar sake ya usko mannat yaad nahi to ab aise mein uske liye kya hukm he?

bismillah.jpg

A:

1. Agar us ne haraam mannat le li, to haraam mannat poori karna jaaiz nahi he.

2. Agar wo apni mannat bhool gaya, to soowchne ki kowshih kare. Agar yaad aawe, to us ku poori kare. Warna wo Allah Ta'ala se istighfaar maange.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)