Khwaab ki ta'beer

Q: Aaj subha mene 6-7 bje ke darmyaan ye khwab dekha ke meri mere ek purine colleague se shadi hoi he me uske nikah me hun mene shadi hote to nahi dekhi lekin nikah howa he per nikah ki rasoomat mene nahi dekhi iske elawah mera nikah jis colleague ke sath howa he me use bht bht zyda pasand kerti thi (me us se bht mohabat kerti thi) lekin haqeeqat me uski shadi uski khala ki beti se 7 saal pehle ho chuki he or haqeeqat me me uski mohababt ka khayal bhi dil se nikal chuki hun or mene yehi dekha ke me apne h ghar me hun or meri rukhsati honi he mene pehle lehnga pehan rakha he or shyad mehroon se milte julte rang ka he or phir mene use utar ker ek frock pehn lia he wo bhi mehroon or red colour se milta julta he uske sath peele rang ka chori dar pajama he or us ke sath jo dupata he us me 2 rang hien ek to neela he dosra shyad meroon, phir mere shohar yani mere colleague ka phone ata he wo kehta he ke tum kia ker rahi ho meh kehti hun me kabhi lehnga pehan leti hun kabhi frock or pajama muje samjh nahi araha ke konsa zyda acha lag raha he me konsa pehno wo kehta he jo acha lag raha he wo pehan lu phir muje phone ker dena me tumhe lene ajaounga ab mere zehan me yehi hota he ke muje tayar hona he lekin us se pehle mene khud ko apne under legs hair ( zere naaf baal) remove kerte hoe dekha (yani me sochti hunk e muje apne shohar se achi tarha saaf suthra ho ker milna he)  jab me ye kaam ker rahi hoti hun to choti behan jo ke shadi shuda he wo bar bar kamare me ati he muje mazar kerti he uski waja se muje bar bar rukna parr jata he phir me 70-80% baal saf ker chuki hoti hun to jo baki reh jate hien wo me hath se khenchne ki koshish kerti hun to kuch mere hath me aa bhi jate hien phir me tango ke darmayan hath laga ker dekhti hun ke baal hath se mehsos to nahi horahe to mehsos yehi hota he ke kafi baal saaf ho chke hien phir men khud se kehti hun ke chalo ye kaam ho gaya ab muje tayar hona he phir mere shohar muje lene ajae ge muje unke sath jana he.

bismillah.jpg

A: Allah Ta'ala aap ku hamesha kush rakhe owr neak jowri naseeb farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada