Khwaab ki ta'beer

0 Main aur meri biwi akasar jo bhi khawab daikhten woh haqeeqat main hota hai. Maslan maine abhi december end main daikha ki main Umrah karne jaa raha hoon, tabhi 5 January ko mujhe umrah ka sharf hasil hua. Aur bahut se misaal hain. Umrah se lautne ke baad main lagbagh 7-8 baar apne aapko umrah ke safar par ya masjid Nabawi main namaz padthe hue daikhta hoon. Iski tabeer batayen. Waise maine andaza kiya shayad phir se jane ka mauqa milega insha allah. Raat maine bara ajeeb khawab dekha jiske liye main bahut pareshan hoon. Maine apne ko kisi masjid ke aagan main main South side yani Kabe ke left (junoob) ko namaz ke niyat ki tayyari karte daikha. Wahan koi aur namazi tha usnai mujhe ishara kiya aur main niyat nahi bandhi. Us duraan mere sar par topi bhi nahi thee aur na maine kurta pahan rakaha tha, na hi koi ja-namaz ya saf bheechhi thee. Masjid Mohalle main thodi door par hai usmain daikha. Barahe karam iski tabeer batayen. Allah apko jazah de. ameen.

bismillah.jpg

A:

1. Allah Ta'ala hum sab ku Haramain Shareefain ki ziyaarat baar baar naseeb farmae.

2. Neak logo ki suhbat suhbat me raha karo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada