Khwaab ki ta'beer

Q: Mene fajar ke baad subha tak khwaab me dekha ke ek neelay rang ka mendak mere ghar k darwazay pe charh raha hy or me andar nahi ja pa raha. Wo hilta tab hy jb me pao zor se zameen par marta hun. Isi tarha kertay kertay wo uchal ler andar chala gya or ab wo neelay choohay ki shakal me hy or ja ker freezer ke neechay chup gya. Note: mujhy us se koft aa rhi thi. Usay hath nahi lagaya mene bs dekha. Na us pe koi cheez phenki bs paao zameen p mara ta k wo darwazay se hatt jay. Pls mere khwaab ki taabiir mujhy bata dejiey.

bismillah.jpg

A: Paanch waqt ke namaaz ke ba'd owr sowne se pehle chaar quls owr Aayatul kursi parhliya kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmae. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada