Khwaab ki ta'beer

Q: Mene 31 july, Eid ke tesre din Thursday ki subha (8-10bje ke darmayan) khwab dekha ke meri mere mamani or unke bête se ek jaga mulaqat hoi he ( haqeeqat me HUM ghar walo ki mamani or unke bête se kuch saal pehle ki larai ho chuki he or aj tak sulah nahi hoi) us mulaqat me bato bato me unse sulah ho jati he or phir mamani ka beta (uski gaud me uska baby bhi hota he) muje apne ghar le ker jata he lekin mene khwab me wo ghar nahi dekha jo is waqt mojuda halat me he balke kai saal pehle wo ghar kache sehn ( yani matti wali zamin ) 2 kamro or baramde wagera per mushtamil tha or sehn me 8-10 darakht bhi lage hoe the mene khwab me wohi ghar dekha waha ja ker mene dekha ke waha per hamare kuch or rishta daar bhi hien kuch anjan chehre bhi nazar aye unke sehn me wash room right corner per bohat ajeb tarah bana hota he jese zameen mein ek garha khoda howa ho or uske moon ko adha Dhaka howa ho or adha khula howa he us wash room me kuch darakht ke patte ugge hoe bhi nazar aye me us washroom me gai or waha urine bhi kia uske bad usi kache sehn ke right corner per bilkol deewar ke sath or darakh ke qareeb ek bed bicha howa he jis per me leit jati he or halki neend me ho jati hun phir muje thori der bad apne ooper kuch bojh mehsos hota he to me uth jati hun kia dekhti hunk e mere paas ek bazurk safed rang ka lamba sa choga or sabz rang ki topi pehne hoi lete hoe hien me ghabra jati hun ke ye mere paas kaha se agaye hien me bed se uth ker kamre or baramde ki tarf chali jati hun or ek adami se pochti hun ke mere sath esa howa he to wo muje batata he ke ye yaqeenan koi naik bazurg hein jo tum per nazil hoe hien ya tum se milne aye hien or wo adami ye bhi batata he ke ye bazurg sirf tumhe nazar aye ge or ghar me kisi koi bhi nazar nahi arahe phir me wapis usi bed ke qarib un bazurg ke paas ja ker beth jati hun baqi ghar ke log apne bato me masroof hien lagta he kisi ko bhi wo bazurg dikhai nahi diey sirf muje h dikhai de rahe hen phir wo bazurg muje kagiz or pen lane ko kehte hien or kuch likhne ko kehte hien me unke paas beth ker kagiz per kuch likhna shoro ker deti hun shyad wo muje kuch logo ke naam likhwa rahe hien is doran behn bhi mere pas se guzarti he muje thora mazaq me tang ker ke jati he or me sochti hunk e me kam ker rahi hun or ye muje chair ke chali gai lekin use bhi wo bazurg nazar nahi aye, likhte likhte mere pen kuch ruk jata he or theek nahi likh raha hota to me andar kamre me ja ker dosra pen lati hun or dobara kagaz per likhna shoro ker deti hun ( muje un bazurg ka naam nahi pata per me ne 1-2 bar un bazurg ko Allama sahb keh ker pukara bhi) – muje lagta he ke ye bazurg muje un logo ke naam likhwa rahe hien jinse unho ne ainda mulaqat kerni he – ye bhi mehsos howa ke shyad unke naam ka dosra hissa Iqbal he lekin naam ka pehla hissa muje nahi pata

A: Apne rishtidaaro ke saat acha bartaw rakhe owr purda ka ihtimaam karo apni zindagi me tamaam na mahram mardo ke saat. Allah Ta'ala aap ku barkat naseeb farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada