Khwaab ki ta'beer

Q: Ek to me ek sawal apse pochna chah rahi thi k ke jo khwab hame pora theek tarha yaad na ho kia uski tabeer me koi farq parta he kunke muje aksar khwab me kuch eham manazir yaad reh jate hien or baqi scenes aksar bhol jate hien.

Dosra mene jume ki suba khwab dekha us din 19 ramazan tha mene khud ko apne ek colleague ke sath jise me pasand kerti thi bagh me ghomte phirte dekha din ka waqt hota he soraj ki roshni bhi achi khasi hoti he bagh sar sabz hota he or us me kai jaga phool bhi khile hote hien or me orange colour ka chamkeela sa lehnga pehn ke ache mood me apne colleague ke sath ghoom rahi hoti hun or thori der bad wahi ek safed rang ke kapre per red or ek 2 rango ka acha sa print bana howa bhi dekha phir ek or Manzar me men eek na maloom jaha per kuch logo ko jama dekha or wahi per ek safed rang ka kafi ooncha or kafi seht mand jawan sa horse bhi dekha use dekh ker muje bht hairat hoti he kunke uska size ek normal ghore se kafi bara hota he or kafi seht mand or khubsurat dikhta he phir mera wohi colleague thori der bad us ki lagam pakar leta he or me sochti hunk e ye to itna bara ghora he mere colleague ne kese iski lagam pakar li phir ye bhi sochti hunk e mere colleague ki height bhi achi he islie ghore ke lagam iske hath me aa saki

A: Paanch waqt ki namaaz apne waqt par paabandi ke saat parhne ka ihtimaam karo owr tamaam na mahram lowgo ke saat purda karo. Agar aap apni zindagi ku Shari'at ke mutaabiq guzaarde to Allah Ta'ala aap ku kamiyaab banaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada