Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhay aik khawab ki tabeer maloom karni he jis ki waja se main kafi pareshan hun. Main apnay ami abu ke sath kisi park main jati hun wahan bohot rush hota hay abu ki tabiat khrab honay lagti hy wahin aik guard kehtay hy heart patients ko itnay rush k dino main park ana e ni chahye. Phir ham wahn se bahir aik hall main aa jatay hain meri choti behn or bhai bhi wahin hotay hain wahhan koi aik ghora lay ke ata hay us pe zein ya ni hoti woh ghora atay he mujhay marnay or katanay lagta hy herat ki baat yeh hay ke woh meri behn ya bhai ko kuch ni kehta phir log us ghoray ko sulanay wala injection daitay hain or woh so jata hay mujhy x-ray k liay lay k jatay hain meri teen paslyyun (ribs) main fracture hta hy phr ami abu mujhay hosital lay ke jatay hain wahan dobara x-ray hota hy doctor kehta hy fractue ni hy bus hadi apni jaga se hil gae hy wapisi per main behn or bhai aik rikshaw main bethty hain or ami abu ka wait krtay hain woh nahi atay phr main ami ko aik or rikshaw main dakhti hun or un se puchti hun to kehti hain mujhy kaam hy main abi ghr ni ja sakti un ke pas kafi saman hota hay phr main abu ka puchti hun ami kehti hain woh to islamabad chaly gaey main bura feel krti hun ke aisay kaisay chalay gaey milay baghair phr meri ankh khul jati hy us uth ke main foran time dakhti hun 4.20 am htay hain fajar ka waqt tha. Mufti sahab main mazeed aap ko bataati chalun meray MS ke project supervisor ka rawayya meray sath bohat na rawa hay or main un ki waja se kafi pareshan hun or woh her roz mujhay apni zuban se takleef daitay hain halla'an kay mera project complete hy or jo kam ni ho ray woh un ki waja se hain kay woh budget release ni ker ray or mujhy khawar ker ray hain meray ami abu ke hawalay se yeh ke donu heart patient hain or kafi beemar hain. Meri mazeed iltmas hay kay mujhy koi wazeefa bhi tajweez ker dain main bohat pareshan hun Allah aap kay liay dunya or akhrat main aasanian farmaey or aap k gher walun or dost aehbab k liay bhi ameen.

A: Paanch waqt ke namaaz ke ba'd ye dua parhe. Allah Ta'aal aap ku aafiyat owr salaamat me rakhe.

اللَّهُمَّ إِنِّى أَسْأَلُكَ الْعَافِيَةَ فِى الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ اللَّهُمَّ إِنِّى أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِى دِينِى وَدُنْيَاىَ وَأَهْلِى وَمَالِى

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada