Bad naami se mahfooz hona

Q: Mera naam sana hai aur me ek student hun. Parhne ke lie me apne nanyaal me rehti hun. Mujhe ek tension si ho gye hai ke mere gaon me ye afwaah pheli hui he ke me apne nanyal se kuch larkay ke saath bhaag gae hun. Halanke aisa kuch nahi hai aur bhi bohot saari baaten sunne ko milli hen ke mera kuck larke ke saath affair tha haalanke ye baaten mere demaagh me hi ni aye hen. Mujhe apni aur apni maa baap ki izzat ki parwaah hai aur me nahi chahti ke aesa kuch bhi ghalat ho. Me chaahti hun ke me kuch sadqa khairaat karun ta ke Allah ye balaah mere uper se taal de. Agr me apne nanyal me hee koi khana waghaira paka ke ya apne mamu ke bacchon ko agr koi un ki pasandeeda cheez dilwa dun to kia ye sadqa me shumaar hoga. Baraa-e-mehrbani muje is me rehnumaai dijiye.

A: Uski dharoorat nahi he. Khuda ki taraf dil lagaao aur sajdah me gir gira karke khuda se talab karo. Allah Ta`ala is bad naami ko door karde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)