Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhay ek khwab ki tabeer jan'ni hai. Meri ek dost ne guzishta roz dekha ke wo sialkot shehar k qaribi river pe gai hai or lekin wo river ka pani aam paani nahi shayad zamzam ka paani hota hai owr wahan kuch aisa banaa hota hai ke jis se us river ke paani ke qatre girte hain. Lekin wahan ke baarey mein kaha jata hai ke ye qatre har kisi ke hath pe nahi girte. Lekin jis ke hath pe gir jayein wo bohot mubarik or pohunchaa hua smjaa/smji jaati hai. Meri dost ny aagey ye dekha ke wo hath aage karti hai to us ke hath pe bohot saarey qatre girte hain. Fir sochti hai ke logon ka jo man'na hai waisa kuch nahi hota. Jo karna hota hai wo Allah ne krna hota hai. Phir wo chal deti hai akeli kisi raaste pr by foot ya bike ya kisi cheez pr baith k or left right side pe faslein hoti hain or wo jahan jahan se guzarti hai wo faslein sonay (gold) ki bnti jaati hain. Mufti sahab aapki taraf se is khwab ki tabeer ki jald az jald muntazir hu.

A: Neak logo ke suhbat ikhtiyaar karo. Allah Ta'ala aap ku qubool farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada