Khwaab ki ta'beer

Q: Maine ek khwaab dekha jaha mai railway station pe train may chadne ki taiyaari kar raha tha. Bohot crowd tha aur mai train may khada tha shayad gaon ka train tha jab tak ek ticket checker aakar subki ticket check kar rhe the. Meri ticket dekhar unhone kaha ki ye ticket ko lekar station master ke pass jao Aur application likh ke lekar aao toh mai gya aur baat ki toh unhone kisi aur k pass bheja mujhe mai pareshaan tha ki train na chud jaay toh unhonw kaha abhi toh late ho gye toh maine kaha ki mai khud application likhe ke sign kar lu toh unhone kaha haan...phr jab mai station k niche utara toh meri ek neighbour ko dekha jiski shaadi ho gyi thi..vo b station k bahar jaa rahi thi...maine pucha kaisi ho and no. Pucha toh bol rhi thi papa b hai sath may...daatenge.. Toh phr mai apna train pakadne gya toh bahut saare track (patri)te mai bhaag bhaag k gya bahut saare train chal rahe the...mai apna train pakar paaya ya nahi pata jab tab aank khul gyi.

A: Khwaab ki ta'beer ye he ke aap ke dil me koi khwaahish owr tamanna he owr wo poori nahi horahi he. Allah Ta'ala aap ke halaal tamanna poori farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada