Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khwaab me dekha ke kuch log mere waalid ka qatal karte hain pistol se goli maar kar aur mein dur se wo sab dekhta hoon aur mujhe ghussa aata hai. To fir mein apne paas jo hatiyar hai usse unn par goli chalata hoon jisme ek admi marjata hai. Aur police mere pheeche pad jaati hai. Mein police ko dekh kar bhag jaata hoon aur chup jata hoon. Mujhe chupa dekh kar do dost mazakh udhate hain aur meri walida aakar himmat deti hain. Iske baad mein apne aap ko police ke hawale kar deta hoon. Mufti sahab mujhe iss khwab ki tabeer chahiye kyun ki iss me mere valeed ko dekha hai marta dekha hai khuda na kare unn par koi musibat aaye. Iss khwab ko dekhne ke baad subah mera accident hogaya jisme zyada kuch luksaan to nahi hua, magar mujhe darr hai ke mere valeed par koi musibat me na aaye.

A: Apne aamaal ko Shariat ke mutaabiq banaane ki koshish kare aur tamaam gunaaho se parhez kare. Paanch waqt ki namaaz Musjid mein jamaat ke saat paapandi se parhne ka ihtimaam kare. Har namaaz ke bad ye dua parhe, Allah Ta'ala aap ko apne khusoosi hifaazat main rakenge aur tamaam mushkilaat hal farmaaenge.

اللَّهُمَّ إِنِّى أَسْأَلُكَ الْعَافِيَةَ فِى الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ اللَّهُمَّ إِنِّى أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِى دِينِى وَدُنْيَاىَ وَأَهْلِى وَمَالِى

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada