Qasam khaana ke bahar se khana nahi le ker aunga

Q: Mere husband ek din baahir se dinner le ker aae, jis pe main naraaz hogae and maine kaha ke kia zarurat thi fuzool kharchi kerne ki, jis pe mere husband naraz ho gae and ghussey me kaha ke " Allah ki qasam ab me kabhi bhi bahir se khana nahi le ker aunga". Thori der baad un ka ghussa khatam ho gaya. Kia ye qasam ho gae hai? agar ho gae hai to kia iss ke tootne per iss ka kaffara dena parega? Agar dena parega tou kia hum kisi ghareeb and zarurat mand ko paisey de sakte hain? Agar de sakte hain to kitne dene honge?

A:

1. Qasam hogae.

2. Is ke towrne par towba kare owr qasam ka kaffara ada kare.

3. Qasam towrne ka kaffara ye he ke aadmi das miskeeno ko kapra pehnaai us qadr kapra jis me namaaz ho sakti ya das miskeeno ko sadaqatul fitr ke miqdaar ke baraabar pesa dow. Agar kisi ko is par qudrat ne ho, to teen din musalsal roza rakhe kaffara ki niyyat se.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)