Bara saal ki qadha namaaze

Q: Agar kisi insan ki das, baara saal ki qaza namaze baaqi ho to kya wo jo nafil parhta he wo qabool nahi hoti? Aisa agar koi aadmi abi namaz parhta he to kya us ke zuhr, maghrib aur esha ke nafil qabool nahi ho rahi he?

A: Jitni nafil us ne parhi, wo qubool hogi Insha Allah. Lekin Fuqaha ne likha ke jis ke zimme par qadha namaaz ho, us se chahia ke wo fardh, witr, Sunnat-e-Muakkada owr Sunnat ghair-Muakkada ku parhe. In namaazo ke ilaawa jo doowsre nawaafil he in ke jage me apne qadha namaaz ku parhe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)