Khwaab ki ta'beer

Q: Mene ek khuwab daikha hai jis me tufaani baarish ho rahi thi owr me ek jga jati hn wo jga khandar hoti hai waha bara quran pak rakha hota hai jo me uthane jati hn k itne m mera kazan jo 11 saal ka hai wo qabar pe dirta hai us qabr m koe marhoom ni hota balke miti m paper hota jis m sawal owr uske piche jawab likhe hote hai mgr wo smj ni aata sirf Allah owr Nabi ka naam nazr aata hai. Phir me paper wahen rakh ke quran pak uthati hn owr kazn k sath chali jati hu.

A: Neak logo ki suhbat me raho owr purda ka ihtimaam karo tamaam na mahram mardo owr larko ke saat. Paanch waqt ki namaaz ku waqt par paabandi ke saat parho owr aank, kaan, zabaan owr dil ku gunaaho se bachaate raho. Jis jaga me mardo owr awrato ka ikhtilaat he, waha par jaane se parhez karo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada