Khwaab ki ta'beer

Q: Mere naani ne ek khwaab dekha hai woh uske bare me bahot pareshaan hai. Baraye meherbani uski tabeer bataye. Mere naani ke ammi abbu bhai ka inteqaal ho chuka hai, mere naani apne bhai ke kaafi qareeb they, naani ne khwab me apne bhai ammi aur abba ko dekha, naani ke bhai ne khwab me naani se kaha ki unhe teen chheze chahiye.

1) Unke bhai ne 3 gram sona manga aur kaha ke agar mil jaye to unka kaam ban jayega.

2) Dusri cheez naani bhool gaye.

3) Thessri cheez ke bare me unke bhai ne kaha ki woh unke ammi naani ko bata dege. Naani kafi dino se iss khwab ko lekar kaafi pareshaan hai. Plz iski tabeer bata dijiye.

A: Khwaab ki ta'beer ye he ke aap ki naani ku chahia ke wo in marhoomeen ke lia Allah Ta'ala se istighfaar mange owr kusoosi dua kare ke Allah Ta'ala un ki maghfirat farmae. Issy tarah un ku chahia ke Qur'an Shareef ka kuch hissa par kar ya kuch sadaqa de de owr us ka sawaab un ke lia ponchaade.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada