Khwaab ki ta'beer

Q: Main kai baar ek jaisa khwab dekhta hu. Hamare ghar ke ek hisse ki taraf se mujhe kuch asebi harkate mehsoos hoti hai, koi nazar nahi aata lekin upar ki taraf se khichav hota hai. Chize uss hisse ki taraf upar ki taraf ahista ahista udne lagti hai. Main kafi darr jata hu aur uski taraf badhta hu, daoraan e khwab main la haola wala quwwata ya koi zikr padhne lagta hu. Main uss aseb ko pakad kar khatm karne ki koshish karta hu lekin neend khulne tak pakar nahi pata. Khwab me main apne ghar walo ko uss jagah se door karne ki koshish karta hu. Ye khwaab kai salo se waqfa waqfa me ata rehta hai, ghar ke ek hi hisse ki taraf mujhe yeh aaseb nazar aata hai. Baraye meherbani iski tabeer bataye.

A: Paanch waqt ke namaaz ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursi parhliya kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada