Kapro ku paak karna phir namaaz parhna

Q: Agar kapro me mazi lag kar khushk ho gayi ho to kya un kapro me namaz ho jayegi ya nahi?

A: Saheeh tareeqa ye he ke aadmi us jaga ku dhowle le owr us ke ba'd namaaz parhe. Ayse kapre me namaaz parhna jis me napaaki ho jaaiz nahi. Lekin agar kisi ne nahi doya to masla ye he ke agar mazi ki miqdaar hately ke anderoon hisse se kam ho, to namaaz durust hogi. Agar ziyaada ho, to namaaz durust nahi hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)