Khwaab ki ta'beer

Q: Mene khuwab me dekha meri ek cusin jis ki death ko 8 months ho chuke hen wo lerki bachpan se thallasemia ki patient the bht achi the mujhe nahi yad k uski waja se kabhi kisi ki dil azari hue hogi mene dekha k wo cosin mujhe kah rahi he saima baji ap k liye tuhfa laye hon n ek pathar achanak se mere pas aa ke girta hay. Thalesemia ke patients blood nahi bana sakte jis ki waja se unka complexion kala siyah ho jata hay lekin wo cusin us waqt bht ziyada haseen lag rahi the me apne sath apni ami ko dekhti hon ke wo mere sath hen n pathar jese girta hay ami n me ek dosre ko dekhte hen n younhi meri ankh khul jati he. Ankh khulte jab mene time dekha to sobah ke 4 baj rahe the me bht confuse hon is khuwab ko le ke baraye maherbani mujhe is ki tabeer bata den.

A: Qur'an Shareef ka kuch hissa par kar ya kuch sadaqa de de owr us ka sawaab un ke lia ponchaade.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada