Khwaab ki ta'beer

Q: Hazrat mere abbu ka intakal ho gya hai. Maine dusere din khab me dekha ki kabar kuda hua dekha jis ke pass ek ladka bara sa pather hath me utha kar kabar ke pass kara hai jaise wo unko marna chata hai aur hum pass me beth kar koi kitab pardh rahe hai our do ladki samne mughe dekh kar hans rahi hai. Iski tabeer kya hogi? Mere abbu kush to hai na mene hamesha unko jab aakhri wakat me wo bahut beemar the usi halat me dekha hai aur wo mughe mera naam lekar aawaz dete hai hum unke liye kya kar sakte hai. Pehli baar wo mere sapne me aakar mujhse kahte hai ke chaar nimu le kar aana. Please reply diyeega ki meri khwab ki kya tabir hai aur ye nimu kyu lane ko kha unhone.

A: Aap apne marhoom baap ke lia dua kare ke Allah Ta'ala uski maghfirat farmae owr a'laa se a'laa darjaat naseeb farmae aakhirat me. Qur'an Shareef ka kuch hissa par kar ya kuch sadaqa de de owr us ka sawaab un ke lia ponchaade.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada