Khwaab ki ta'beer

Q: Mein pichlay aik haftay se khwab mein chipkali dekhti aa rahi hun aur amooman jab ankh khulti hai tau fajr ka time hota hai. Jo last khwaab dekha us mein mein ne khud ko apni mumani ke sath dekha aur wahan pe jharoo ke pas kuch choti chipkaliyan mari hui thein phir mein apnay ghar ke store room mein jati hun tau wahan pe aik bari si chipkali meri tangon pe girti hai mein kapron ko jhatkti hun magar wo dobara nahi dikhti aur yahen meri ankh khul gai thi. Baraye mehrbani mujhay is khwab ki tabeer bataiye aur agar yeh koi bura khwab hai tau isk hal ke liye bhi bataiye apki hamesha shukarguzar rahun gi.

A: Khwaab ki ta'beer ye he ke Insha Allah, Allah Ta'ala aap ki hifaazat farmaenge haasideen se.

Paanch waqt ke naamz ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursir parhliya kare. Allah Ta'ala aap ku hamesha har shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada