Khwaab ki ta'beer

Q: Mein apni choti behen ke khwab ki tabeer poochna chahti hun. Merey father ki 5 November ko death ho gayi hai. Meri behen ne khwab mein dekha ke ghar mein bohot chahal pehel hai jaisey ke koi takreeb ho rahi hai. Meri behen car mein ghar aati hai aur car park karney lagti hi tu dekhti hai ke abbu ghar se nikal kar bahar aatey hein. Ghar ke uppar ek bara sa black kapra daala hua hai aur chotey chotey black kaprey bhi latak rahey hein. Meri behen abbu se kehti hai ke yeh aap ne ghar ko kia mazaar jaisa banaya hua hai tu abbu us ko jawab detey hein ke tumhari ammi ko in sab cheezon ka shauq hai lekin mein is ko utaar dun ga. Baarish ho rahi hoti hai aur abbu fresh lag rahe hein. Off white kapre pehney hein aur baal bana rakhe hein. Mufti Sahab, kaala kapra dekhe ki waja se hum sab bohot pareeshan hein. Abbu ke inteqaal ka behad gham hai aur hamari walidah ki tabiyat bhi theek nahi hai. Kindly aap is khwab ki tabeer bata dein. Bohot Shukria.

A: Qur'an Shareef ka kuch hissa par kar ya kuch sadaqa de de owr us ka sawaab apne marhoom waalid ke lia bhejde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada