Khwaab ki ta'beer

Q: Main nay aik khawab daikha he. Main kese ka sath khara hun us admi ka hath main quraan pak he itnay main hamaray samny say kuch log guzrty hain jinho nay black chader le hoe h aur apny ap ko black chader main chupaya howa h. Itnay main wo admi jis k pass quran h wo quran ko un logo ke traf ker daita h jaisy he wo quran ko un ke traf kerta h aik zor dar tofan aa jata h taiz hwa chalte h aur wo log bhaag jatay hain baad main main us admi say puchta hun ye kon log thy wo muje batata h ye balaain thy. kindly muje es ke tabeer batain.

A: Khwaab ki ta'beer ye he ke Haq owr baatil ka takraaw hamesha rahega lekin anjaam ke i'tibaar se Allah Ta'ala haq ku hamesha ghaalib karenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada