Khwaab ki ta'beer

Q: Mere khwaab me mere bhai jo marhum hai che saal me inteqal hogaya tha unke inteqal ko paintis 35 saal hogaye. Mere khwaab me my unke mazar ke paas jaati hun aur wahan par log gobar ke upar namaz padhte hai aurten burkha pahene hue aur chutiya ko shakkar daalte hai. Me bhi wahan bhi wahn namaz padhne ke liye age bhadhti hun to mere bhai ke khabar se awaaz ati hai ke kahan jarahe ho chiraagh lagao aur chadar chadao. Please mere khwaab ki taabir batayye.

A: Khaab ki tabeer ye he ke agar aap Allah Ta'ala ki raza aur khushnoodi chaahti hei, to aap ku chaahiye ke aap apne zindagi ku huzoor (sallallahu Alaihi Wasallam) ki mubaarak zindagi ke mutaabiq banaaye. Aysi jage ne jaae jaha par mardo owr awrato ka ikhtilaat ho ya jaha par bidaat hote he. Panch waqt ki namaaz ku paabandi se apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare. Aank, zabaan, kaan aur dil ki hifaazat kare tamaam ghunaaho se aur purda ka ihtimaam kya kare tamaam na mahram larko owr mardo se. Agar aap nek raaste ki oopar chale gi aur har waqt ghunnaho sebachegi, to Allah Ta'ala hamesha aap se kush honge owr aap ku har khair se maala maal farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada