Qasam towrne se kaffara

Q: Mien ne asar ki namaz  parhne ke baad Allah se wada kiya ke mien aik month ciggareete nai pyonga aur agar ciggarrete smoking ki to mujhe Allah  bhut bari bemari de ga for example cancer. Aur mien ne teen din baad qasam tor di ciggarrete pe lee. Aise qasam mien pehle bhi le chuka hon aur tor  chuka hu. Mien kya karon? Please help me.

A: Qasam torne se kaffarah waajib hota he, aur qasam torne ka kaffarah ya to das ghareebo ko do waqt khilaana pet bharke ya to phir unko kapra pehnana. Agar ye no ho sake to teen roze lagaataar rakhe. Allah se istighfaar kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)