Ahlus Sunnah wal jamaat owr Ahle Hadith me farq

Q: Mufti sahab Ahle Hadis our Ahlus Sunnah wal jamaat me farq kya hai? Kaunsa jamat sahi our kaunsa galat? Kaunsa jamat manna farz hai? Mazhab (jaise hanfi,maliki wagera) se Ahle hadis our Ahle sunnah se koi taluq hai kya?

A: Ahle sunnah wal jamaat us jamaat ko kehte he jo Hadhrat Rasul (sallallahu alaihi wa sallam) aur sahaabah (radhiyallahu anhum) ke tareeqah ke oopar qaaim he. Salafi hadharaat sahaabah ke tareeqah ke oopar par qaaim nahi. Mathalan taraweeh ki namaaz jis tarah se Hadhrat Umar (radhiyallahu anahu) ke zamaanah me ijmaa sahaabah ke saath huwa tha us tarah se adaa nahi karte.

Hindustan Pakistan me ziyaadah tar hanafi mazhab ghaalib he. Usee ke andar hifaazat he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: