Doraan-e-haiz me ghusul karna

Q: Doraan-e-haiz me ghusul ki kia ahkaam hen? Mene kisi kitaab me parha tha ke hadees me ye hukum aaya he ke aurat doran e haiz me haiz ke pehle din me ghusul kare gee aur phr haiz ke chothay din aur phir saatwain din me ghusul kare gee.

A: Ye baat saheeh nahi he. Haidh ke dowraan me agr awrat ghusal karna chati safaai ke lia, to wo kisi bhi waqt me ghusal karsakti, lekin is ghusal se wo paak nahi hogi. Jab haidh khatam hojae, to us waqt awrat ku ghusal karna zuroori he. Us waqt wo paak hojaegi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)