Qur'an Shareef par haat rakh kar qasam khana ke daari nahi rakhenga

Q: Muj sy aik bohot bari ghalti ho gyi thi. Aaj se saat saal pehly main ne quran majeed per hath rakh ker ye kaha tha ke main 25 saal tak dahri nahi rakhoon ga or joon hi mari umer 25 saal poori ho gi dahri rakh loon ga. Main ny na sirf qasam khai thi balky ye bhi kaha tha ke agr main ye qasam toroon tu muj per khuda ka azaab nazal ho jb main ny ye qasam khai to qasam khany k kuch arsy bad mujy ehsaas hua k mujy ye qasam nai khani chahey thi main ny aj sy 2 saal phly us qasam ka kafara bhi ada kia tha or jab mari omer 25 saal hui phr b main ny dahri nai rakhi sir mujy kia kerna chahey ke Allah mujy hmesha ke liey baksh dy main ny Allah sy bht maafi b mangi ha kia itna bara gunaha kerny ke bad bhi Allah muj maaf ker dain gy orr han main ny ye qasam 2 dafa khai thi aik din khai phir doosry din dobara khai kafara aik hi dafa dia ha jis wakt main ny ye qasam, aik us wakt mari umer 17 saal thi?

A: Allah Ta'ala se saccha towbah kare ke aainda aap aysa gunaah nahi karenge owr fowran daari rakhna shuroo' karde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)