Submitted by admin on Mon, 2015-10-19 16:32
Q: Hamary ghar per bandish hai jissay poucho woh yehi kehty hain or kisi nay hulya bataya toh woh hamari phupho jaisa hai or hum janaty hain ke hamari phupho aisy kaam kerteen hain. Meri baji ka ak jaga rishtay ki baat chal rai thi toh us dooran meri choti behn ko khawab aya ke woh skool say ghar ati hai or gadi say utarti hai or hamary ghar ke bahir kiyari main bohot bara neem ka darakhat hai us k neechay muhalay ki ouratain khareein hain or vahan per hamari dadi bhi chair per bhaiteen hoteen hain or peryshan hoteen hain dari huvi or woh kiyari main darakht k pass bohot bara ghadha hota hai kehra sa or pass main meri ammi nay phupho ko pakra hota hai meri behn nay sari phupho ko nai dekha lekin khawab main usko pata hota hai k yeh phupho hai toh meri ammi nay phupho ko pakkra hota hai or unhain kehraheen hoteen hain k nikal jo tunnay yahan dafnaya huva hai or jab khaday main dekhti hai toh usmain saaf pani hota hai or bohot zada kalay taveez hotay hain or usmain say taveez nikal raheen hain taweez us k baad phupho k pass behn jati hai or kehti hai k q app nay hamara ghar bardaad kiya or thappar marti hai or phupho gir jateen hain. Is khuwab k baad meri behn ka rishta bhi tooth jata hai or hamary ghar main bohot laraeyaan hoteen hain hamary bhai humain har baat per marny k liye atay hain or mara bhi hai humain mery ammi abbu ko bhi dhakkay datay hain. Bohot halaat kharab hain. App say ghuzarish hai k is khuwab ka matlab bhi zaroor batana or yah bhi batadain k us jaga ki humain ghodae kerni chaiye ke nai. Hum log kafi parhae bhi kerty hain or manzil bhi parti houn or namaz bhi.