Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne dream dehka hai ka ma apna chacha khala ka ghar hoo aur wo mera saas susr bi hai. To mera sab relatives ghar ma hai tu khaien sa news muje mili ka bhouth wolfs type hum par humla karnay lagay hai. To me ne sab ko khabar di aur darwazy band kia aur phr utni dair ma ek do wolf aha bhi gae humala kia. Phr hum na sab uper chat ma chalien gai aur meri betiji ti nechacy ghirnay wali ti tu ma na pakar lia. Phir ma na dehka ke Prophet Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ka roza mubarak hai aur mera sath meray abu aur mera bhai hai aur roza mubarak ma green type mark bana howa hai ka edhar Prophet Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ka roza mubarak hai aur side ma miti hai tu ma abu aur bhai miti bi dal ra hai uper green line par aur us miti ma sa ek green ummamha nikala aur hum 3 cleaning aur miti dal ra hai. Yae bas dream ta.

Khatarnaak kalimaat

Q: Mere showhar ne mujhse kaha ke tu Hindu banja, Christian banja, church chali jaa. Kya isse mere shauhar aur mera nikah toot jaata hai aur agar mujhe fhir se nikah karna hoga aur agr main nikah nahi qabul karna chahti tu kya main is bunyad par apne shauhar se alag hosakti ho aur kya mujhe talak ya iddat lag jaati hai ya fhir unka talak dena mujhe zarori hai unse alag hone ke liye aesi surat me kya karna chahiye pls bataye aur kya is baat par mujhe talak lag jaati hai?

Razaa'at me shubah

Q: Mujhe aapse ye baat karni ha. Mere cousin ha mare ami na os ko dod nahe deya laken os na sirf apna sena sa lagya ta or ma os time 1 haf saal ka tha. Abe mare ami bolte ha ke muja pata nahe ka os na dod peya ha ya nahe os na sirf 1 mint ke leya sena sa lagaya ta keya mara os ke saat rishta hota ha ke nahi?

Teen talaaq

Q: Mere showhar ne pehle gusse me 2 baar kaha tha jo mujhe sahi se yaad nahi hai k kya kaha tha bahot zor deke dimag pe yaad aaya hau k kaha tha "talaq de raha hun " aur "aisa karta hun mai tumhe talaq de deta hun aur chala jaata hun yaha se" .. us waqt mujje laga talaq ho gayai hai... Uske baad India gaye the whatsapp pe kuch behes me "talaq" talaq" likha aage peeche kuch nahi.. phir dusre din kaha Maine tumhe darane k liye kaha k tum chup ho jaao..ab husband ko pehle k 2 talaq keh rahe Maine nahi diya dhamki di thi k de dunga.. Whatsapp wala bhi unhone dhamki ki niyet se likha unke kehne pe. .. Ab aap is maamle me rehnumai karen kya talaq waaqai ho gayi??? Husband bahot junooni hain gusse me gaaliyan bura bhala kya Kehte hain phir sab bhool jaate hain k kya kaha.. Phir normal ho jaate hain..please jald se jald repky karen.