Urdu Questions

Halaala karne wale showhar ki madad karna

Q: Mera sawal yeh hai ki agar koi shaks alni biwi ko talaaq de de ahr halala nikah k baad agar uska sauhar humbistari k liye hotel mein jaaye aur uske pass paise na ho to pahla sauhar agar hotel ka bill pay kar de to koi buri baat hai aur humbistari k baad woh talaaq de de aur uske pass apne watan jaane ko paise na ho to pahla sauhar yeh kahkar paise de ki yeh hum tumhe udhaar de rahe hai to kya sahi hoga yeh halala fees jo log kghte hai usme to shumaar nhi hoga?

Angooto ku choomna

Q: Kia Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke naam ane per darood ke saath anghoote chumne ki koi hadees ya riwayat he aur mazeed yeh keh witar ki namaz magharib ke farz ki tarha na ho ya teen rakat ikhatti hi parhni he.

ض ka makhraj

Q: Noorani qaiday mai bachay ko ض ka kya sound pardhaengay "zuad" ya "duad"? Ehl e sunni or ehl e hadees mai alag alag sound se pardha jata hai kya? Hum ehl e sunni kis sound se pardhaen or is k sound se meaning mai farq pardta hai kya?

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine ye khwaab najiz halat mrin fajr k baad dekha.khwab mein mi madine shareef mein hun or wahan aasmaan par lafz mohammad maine saaf dekha mi meri bhanji k sath bhag rahi hun ph lane k lye pic lene k lye.mere wapas ane tak wahan abar agaya phir ek lafz aya aasmaan par namaaz o mazkar maine padha lekin phir sahi padha to wo namaaz o zikr tha.phir jistarah haj mein zibah karte hi bakra to main sonch rahi hun k yahan to sab gosh dedana padta isilye phir ek badi kadai mein gosh talejaraha tha to maine soncha k isme gosh dalkar mai achaar banakar ghar lejaongi.phir madeeneshareef or 2 minar ka aks dikha jo ek jagah se udhkar thodi dur pr zameen par rukgaya.