Shab-e-zafaaf ka tareeqa

Q: Kya sahb-e-zafaaf mein do raqat namaz parna zaroori hai? Agar hai tu kaise padna hai? Kya biwi ke dopate per padna hai ya nahi? Meherbani karke shab-e-zafaaf ka tareeqa poora batayein.

A:

1. Ye namaaz Sunnat he.

2. Jab miya biwi ayk dowsre se mile, to showhar apna haat biwi ke paishaane par rakhe owr ye dua parhe:

َاَللّهُمَّ إِنِّيْ أَسْأَلُكَ مِنْ خَيْرِهَا وَ خَيْرِ مَا جَبَلْتَهَا عَلَيْه وَ أَعُوْذُبِكَ مِنْ شَرِّهَا وَ شَرِّ مَا جَبَلْتَهَا عَلَيْه

Ay Allah, me aap se wo khair maangta hu jo is awrat ke andar he owr jo khair aap ne us ke andar paida kya owr aap ki panaah maangta hu is awrat ki kamzori se owr jo kamzori aap ne us ke andar paida kya.

to downo do rakat nafil namaaz jamaat ke saat parhle owr downo Allah Ta'ala se dua kare ke Allah Ta'ala downo ke dilo me ayk dowsre ke lia muhabbat paida kare owr downo ku barkat naseeb farmae nikaah me.

3. Jaise dowsri namaaze musalle ke upar pahi jaati he isy tarah ye namaaz bhi musalle ke upar parhi jaegi.

4. Jab miya biwi humbistari karne ka iraada kare, to khaawind ku chahia ke pehle apne biwi ke saat pyaar kare owr biwi ki sahwat ku halaal tareeqe se uphaare (bowsa lene se, waghairah). Showhar apni sahwat ku poora karne me jaldi ne kare. Mujaama'at us waqt kare jab biwi ki sahwat bi mukammal he. Miya biwi ku chahia ke apne badan ku kapre se chupae rakhe humbistari ke dowraan me owr qibla ru humbistari ne kare. Humbistari se pehle, mia biwi ye masnoon dua parhe:

اَللّهُمَّ جَنِّبْنَا الشَّيْطَان وَ جَنِّبِ الشَّيْطَانَ مَا رَزَقْتَنَا

Humbistari karne ke ba'd mia biwi apne posheeda baato ku kisi ke saamne zikar ne kare. Ye bohot bara gunaah he owr Hadith Shareef me is ki mumaana'at aayi he. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: