Qasam towrna

Q: Mere friend ne apna phone bandh rakha tha mai ne usko gusse mei msg kiya ayenda tera phone kabhi bandh aya allahs kasam tum se kabhi baat nahi karungi. Itne mei uska msg aur miss call aya wo dr pass hai scan karwa rahi hai. Mai ne phir call kiya uska phone bandh ab mai us se baat karne darr rahi hun. Mujhe lagta hai mujh pe kasam lagu hogai. Ab mai kya karoon?

A: Us se baat karo owr qasam towrne ka kaffara ada karo. Qasam towrne ka kaffara ye he ke aadmi das miskeeno ko kapra pehnaai us qadr kapra jis me namaaz ho sakti ya das miskeeno ko sadaqatul fitr ki miqdaar ke baraabar pesa do. Agar kisi ko is par qudrat ne ho, to teen din musalsal roza rakhe kaffara ki niyyat se.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)