Ma'zoor

Q: Me peshaab ke qatro se kaafi pareshan ho chuka hu. Me samaj hi nahi paa raha hu ke me mazoor hu ke nahi. Mene aapka mazoor ka fatwa padha he lekin me abhi bhi bahot uljan me hu. Kyunke jab me nanga rehta hu tab qatre har 2 minute me aate he aur jab me kapre pehne rehta hu tab qatre aat ya das ya tera ke choowda minute me bhi aa jaaya karte he. Aur sab se bara masla ye he ke qatre jab nikalte he to muje pata nahi lagta. Ab har baar me kapre nikaal ke nahi dekh sakta. Me bohot pareshaan hu.

A: Agar koi shaks namaaz ke poore waqt me fardh namaaz nahi parhsakta uzar ke nikalne ke baghair (jaise peshaab ke qatre ka nikalna), to ayse aadmi ma'zoor banjaega. Uske ba'd har namaaz ke waqt me agar ayk dafa' bhi uzar payajae, to wo shakhs ma'zoor rahega owr agar uzar bilkul nahi payajae, to phir wo ma'zoor nahi rahega. Dowbara ma'zoor banne ke lia zuroorat hogi ke poore waqt me uzar ka is qadar paya jana ke fardh namaaz poora nahi karsakega us uzar ke nikalne ke baghair.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)