Witr ki sunnat qiraat

Q: Mere kuch sawaalaat he jin ka mujhe islami nuqta-e-nazar se hukam bataye ga baraaye meherbaani.

1. Agar me sirf Farz namaaz parhta hu aur sunnat-e-muakkada nahi parhta to kya me gunehgaar ho jata hu?

2. Esha ki namaaz me witar ki rakaat may kon si surah parhna chahiye?

3. Kya me beth kar namaz parh sakta hu apahaj na hune ki soorat me? Thori kamzori me beth kar namaaz parhna jaaiz he?

A:

1. Jee ha.

2. Qur'an ki kisi bhi Surah se parhsakta he. Lekin Sunnat qiraat witr me ye he ke pehli rakat me Surah Aa'laa ku parhe, dowsri rakat me Surah Kaafiroon ku parhe owr teesri rakaat me Surah Ikhlaas ku parhe. Ba'd riwaayaat me witr ki Sunnat qiraat me ye batlaaigayi ke pehli rakat me Surah Qadr, dowsri rakat me Surah Kaafiroon owr teesri rakat me Surah Ikhlaas. Ayk owr riwaayat me pehli rakat me Surah Baqarah ke aakhiri aayate, dowsri rakat me Surah Qadr ya Surah Kaafiroon owr teesri rakat me Surah Ikhlaas.

3. Nafil namaaz beth kar parhna jaaiz he. Lekin fardh namaaz beth kar ne parhe. Magar agar kamzowri bohot ho owr khare hokar nahi parh sakta, to phir beth kar fardh namaaz parhna jaaiz hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)