Nafil rowza rakhne se pehle qadha rowza rakhna

Q:

1. Me nafil roze rakna chahta hu. Allah ka qurb owr raza haasil karne keliye lekin mere pehle ke bohot saare roze qaza he aur mene parha he ayk roza qaza kardya phr qaza ada kardi to wo farz roze ka sawaab haasil nahi karskta poori zindagi.

2) Muje bataye me qaza roza rakho use Allah ka qurb aur raza haasil hoga ya me nafil roza rakskta hu.

3) Hadees Rasool (Sallallahu Alayhi Wasallam) kis din roza rakte the aur ummat ko kis kis din roze rakne ka hukum diya he hafte me?

A:

1. Aap pehle qadha rowza rakhe phir uske ba'd nafl rowza rakhe. Qadha rowza nafl rowze se ziyaada zuroori he.

2. Sab se ziyaada qurb-e-ilaahi faraaidh owr waajibaat hi se haasil hote he. Agar koi faraaid owr waajibaat chowr kar nawaafil me mashgool hojaye, to dar he ke kahi qurb-e-ilaahi band na hojae.

3. Mukhtalif qisam ke Ahaadith manqool huwi Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke nafil rowza rakhne ke baare me. Ba'd Haditho me aaya he ke aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) hafte me peer owr jumeraat ke din nafil rowza rakhte the. Ba'd riwaayaat me ayyaam-e-bidh (mahine ke tera, chowda aur pandra tareekh) me aap rowza rakte the. Is ke ilaawa aur bhi Ahaadith he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)