Haram loan se koi cheez khareedna

Q: Bank se loan lena haram hai. Agar koi us paison se kuch kharidoo to kya wo bhi haram cheez ho jati hai?

1. Jee ha

2. Agar haraam loan se koi cheez khareed liya, to wo khareedi huwi cheez haraam nahi hogi, lekin sood ke gunaah me mubtalaa hone ki wajah se aadmi gunehgaar hoga. Huzoor (sallallahu alaihi wa sallam) ne la’nat farmayi sood ke dene wale par aur sood ke lene wale par, owr us aadmi par jis ne sood wale aqd ki tafseel ku likhdiya owr un downo shahaadat dene walo ke upar jo sood ke aqd ke waqt shahaadat di owr phir Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne irshaad farmaya ke ye sab lowg riba ke gunaah me baraabar he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

عن جابر رضي الله عنه قال لعن رسول الله صلى الله عليه وسلم آكل الربا وموكله وكاتبه وشاهديه وقال هم سواء ( مسلم رقم 1598)

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)