Ma'zoor

Q: Mere sath kabhi kabhi masla hota he reeh khaarij hoti rehti he namaaz ke waqt kia karna chahiye? Agar intizaar karti hu to waqt nikal jaata he aur agar parhti hu to wudhu tootne ka khadsha hota he.

A: Agar aap ma`zoor ho to namaaz ke waqt ke shuroo me eik baar wudu karna kaafi he. Phir uske ba`d jitni baar reeh khaarij hogi wudhu baaqi rahega jab tak ke woh namaaz ka waqt baqi rahe. Ma`zoor us shakhs ko kehte he jo namaaz ka waqt ke shuroo se le kar waqt ke akheer tak itna waqt nahi milta ke wudhu karke namaaz tahaarat ke saath adaa kar sake.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)