Waraasat

Q:

1. Waalid ki wafat ke baad jo beta business me waalid ke saath kaam karta ho aur ghar chalata ho use zayada hissa milna chaiye

2. Waalid ki purani stamped wasiyat (jab waalid beemar the, jisme sirf do bhai waris hai) mani jaye ya waalid ki wo mooh zabani wasiyat mani jaye jisme (jo bhai business dekhta hai uska 40%) aur baqi 60% me se maa, baqi bhai, saari behno ka barabar hissa hai (tab waalid ki tabiyat sahi thi) aur maa ne us wasiyat ki gawahi di hai. Purani stamped wasiyat ke bhi gawah hai magar us wasiyat ke baare me ghar ke log nahi jaante the. Kya aise wasiyat per shariat ke hisab se objection kar sakte hai?

A: Aadmi ke maut ke ba'd unke wurasaa ki waraasat ke hisse sab mutayyan he. Will ke andar sab ke hisse mutaayyan karne ki zuroorat nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)